View Full Version : My Collection ~
jaMal
05-11-2009, 05:31 PM
Dear Users,
I am posting here my Collection of poetry not all collection but 0.1% of my Collection.... hope you all will like...
==========================================
Ek kHawab hAy Is khawab ko khoNa bhi nahi haY
Tabeer kaY dhagaY maiN parona bhi naHi haY
Lipta hay meray dil say kisi raaz ki soraat
Vo sHakhs jis ko mera Hona bhi naHi haY
Yeh eshq 0 mohabbat ki riwaYat bhi Ajab haY
PaYa nahi jis ko usay kHona bhi nahi hAy!!
==========================================
kab kouN kiseY ka hota hai sab jhooteY rishtAy NateY haiN!
Sab Dil rekhnEy ke bataiN haiN Sab Asli roop cHupateaiN haiN!
ikhlas kAy kHali log YahaN LafzooN kEy Teer cHallatay haiN !
Eik Baar NigahouN maiN akaar pHir Sari umar rulatAy haiN ~
==========================================
Jo Dard tu nEy diya teray ikhtiyaar main tha
vo zabt jo meray bus main na tha , kiya main nay
So yEh zameen hay , woh hay Aasman , Jidher jao
Bus apnay Aap sAy tujh kO Rehaa kiya main nay
vo Ankhian mangnay aya tu meray ankh kHuli
usey kHiraaj main kYa kiya Aada main nEy ..!!~
Hum Nay Kab Tum Se Mulaqat Ka Wada Chaha
Door Reh Kar Bhi TumhaY Tum Se Ziada Chaha
Bari SHiddat Se Yaad AaYe humiaN TumHari
Jab BHe TumHay BhoolnaY Ka Irada ChaHa
==========================================
Yeh hadeiN na tooR dena meray Dairay main rehna
mujHay Apnay Dil main RekhNa Meray hafzaY main rehNa
Meray hatH keY LakeeriaN tera naam baN Key cHamkiaN
Merey kHuwashishouN key kHushbo meray ZaichaY main rehNa !
==========================================
Tu Isss Qadar Mujhey Apney Qareeb Lagta hai
Tujhey Alag Se Jo Sochoon Ajeeb Lagta Hai
Ye Dosti,Ye Marasim,Ye Chahatein,Ye Khuloos
Kabhi Kabhi Mujhey Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai...!!!~
==========================================
Main Ne Palkon Se Dar-e-Yaar Per DasTak Di Hai
Main Wo Saail Hoo JIssay KOi Sada Yaad Nai
Aao Ik SajDa Kare Aalam-e-MadHOshi Main
LOg Kehtay Hai Ke Saagir KO KHuda Yaad NaI
==========================================
Jahan Mai Hain Ibrat K har Soo Namonay
Mager Tujhko Andha Kiya Rang-O-Boo Nay
Kabhi Ghoor sa Ye Bhe Socha hai Tunay
Jo Abaad They Wo Saher Ub hain Soonay
Jaga Jee Laganay Ki Dunia Nahi hai
Ye Ibraat Ki Ja Hai Tamsha Nahi hai !!
==========================================
Phir chand khila phir rat thami
Phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami
Phir Yad K Jhonke Mehk Gye
phir Pagal Arman Behk Gye
phir Janat Si Lgti Hai Zameeen
phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami
phir Guzre Lamhon Ki Batain
phir Jagi Jagi Si Ratain
phir Thehr Gyi Palkon Pe Nami
phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami
==========================================
Ap key Nazroun Sey Ojhal ho jaYe Gey hum
Door FizaouN main kHian kHo jaYe Gey hum
hAmari YadouN Sey lipat kar Roye Gey Ap
Jab Zameen orh kAr So jaYe Gey hum ..!!~
==========================================
Wo Khawab Tha Ya Sarab Tha.Meri ChahtoN Ka Azab Tha
Meri ZinDagi Ki wO bhool Tha , Wo Ghuna Tha Ya Sawab Tha
Jo Bana Kay Apna Bhula Gaya , Meri Zindagi Ko Mita Gaya
Mughy Kia Khabar Wo Koun Tha , Wo Khaar Tha Ya Gulab Tha..!!!
==========================================
Har Dharaktay Pathar Ko Loog Dil Samajhtay Hain
Umrein Beet Jatti Hai Dil Ko Dil Bananay Main
Abb Jaa Ke kahee Aaah Karnay Ke Adaab Ayee Hain
Duniya SamajH Rahee Hain Hum Muskuraye Hain ..!!
==========================================
Rut Kaisi Bhe ho Bazem Saja Ley Jaye
Yaad-E-Janaan sa Koi Shaam Na Khali Jaye
Wo Marwat sa Mila hai tu Jhuka Doon Garden
Mairay Dushmen ka Koi Waar Na Khali Jaye !!
==========================================
Is Sham Ki Tanhae Say Is DaRd Ki Ghare Say
Ye Dil Kuch Batain Kar Raha Hay
Zara Samjho In LafzOn Ki ChuBan Ko
Kay Ajj Phir Thume Koie Yaad Kar Raha Hay....
==========================================
Aye Dekhenay Walon MuJhay Hans K Na Dekho
Tum Ko Bhi Mohabbat Kahin Mujh Sa Na Banaday
Akhir Koi Surat Bhi Tu Ho Khaana-E-Dil Ki
Kaaba Nahen Banta Hai Tu But-Khaana Bana Day
==========================================
Abb Kay Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi ImQan Jana
Yaad Kia Tugh Ko Dilain Tera Pyman Jana
Yun He Mausam Ki Adda Dekh Kay Yaad Aya Hay
Kis Qadar Jald BaDal Jaty Hain Insan Jana
Dil Ye Katha Hay Kay Shayed Ho Fasurda Tu Bhi
Dil KIa Batt Karin Dil To Hay NaDan Jana
==========================================
jaMal
05-11-2009, 05:33 PM
Sahailiyoun kEy bharay jhurmat main Roye
woh mairey banhon main kHush rehnay wali
kal kisey aur key bahon main simat kAr raoye
mujh Sa na mila humdard zamanay main jaMal
Safa-e-Zeest ko palta tu roye ..!!!~
==========================================
Ankhian Ban jati hay Sawan key Ghata Sham kEy bad
Lat jata hay koiy jab kHafa Sham key bad
hum nay Tanhai Sey pocha key milo Gey kab tak
is nay Foran Sey he kaha Sham kEy bad ..!!~
==========================================
Unhe kE Hissey mEin Aati hAi pYaas bHi aKsar
Jo Dosroon kO PiLaa kEr sHaraab Peetey hAin
==========================================
Sitam to yeh hai ke woh bhi na bun saka apna
Qubool hum nay kiyay jis kay ghum khushee ki tarah
Kabhi na soacha tah hum nay Qateel us kay liay
Karay ga woh bhi sitam hum pay her kisi ki tarah
==========================================
Bayshaq meray naseeb pay rekh apna ikhtiaar
Lakin meray Naseeb main kYa hay bata tu dey
main nay yEh kab kaha kay meray haq main ho jawab
Lakin kHasmosh kyoun hay tu koiY faisla tu dey
Mazil na dEy chiragh na Dey hoasla tu dey
Tinkay ka he Sahi magher Aasra tu Dey ..!!~
==========================================
Yeh Soch kAr palkoun main chupa leta houN Aanso
Gir kAr Yeh meri Aankh Sey hO jaye na bAy Gher ..!!
==========================================
Sitaray Bunta hay woh Ziya'a taqseem kerta hay
woh haabs-e-mausam main Hawa taqeem kerta hay
uskey kHud key beti key hatheli kHushk rehti hay
Jo Budra Din Bhar Dhoop main Heena Taqseem kerta hay ..!!~
==========================================
Aisa kiouN hota hay kay Aitbar key Tooti Dehlezon par
Jo bhaout apna ho Apna nahi rehta
Woh AksbaN ker MeraY ChashmiaN tar main rehata hay
Ajeeb sHakhs hay Pani kay Gher main Rehta hay!
==========================================
kisey key ankh Sey sapnaY chura kAr kuch nahi milta
mundairoun Sey chiragiyb kO buhjA ker kuch nahi milta
ussey kehnay kAy palkoun pay na tankay khawab key jhaler
Samander kAy kinaray gher bana kar kuch nahi milta ..!!~
==========================================
Miltha tha mujhy woh kabhi pal pak key Farq sey
phir rafta rafta farq salon main aa Gaya
phir yOun howa kAy ankh Sey Aanso nikal paray
Chehra kabhi jO uska kHayaloun main aa Gaya ..!!
==========================================
Khawab kEy tarhan bikhar janey ko ji Chahta hay
Aisey tanhai hay kAy mar janey kO ji Chahta hay
Doob Jaoun tu koiY mujHey Nishan tan na bataye
Aisey Nadiya main utar janey ko Ji Chahta hay
Ghar key Wahshat sey Larzta hoon Magher
Janey kyoun Sham hotey hEy Gher janey ko Ji Chahta hay ..!!~
==========================================
woh Pochtay hain Surakh kyoun hay Aap key ankhian
main kehata houn Raat bher So na Sakay
Hazaroun Waday karoun pHir bhi Yeh bata na suko
Raat Roney key kHawaish thi per Ro na Sakay ..!!~
==========================================
Tumhian bakshi hey dil pey hukmarani aur kiYa detay
Yehi thi bas hamari Rajhdani aur kiYa detay
Saja kAr sir hatheli par Gaye they ko-aie-jana main
ham apney ishq main unko Nishani aur kiYa detey
woh hum sey Mangta tha umar ka eik Dilnashen hisa
na dete usko ham apni jawani aur kiYa detey ..!!~
==========================================
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi
==========================================
main Lafzoun main kuch bhi izhar nahi karta
Iska matlab yEh nahi kEy main tujHey payar nahi karta
Chahata houn main tujHey Aaj bhi par
Teri Soch main apna waqat bEkaar nahi kerta ..!!~
==========================================
Dekhoo muhabat karoo tu itni karoo k koi had na rahay
Intezar karoo tu itna karoo k koi waqt na rahay
Bharoosa karoo tu itna karoo k koi shak na rahay
Nafrat karoo tu itni karoo k phir muhabat na rahay..... !!
==========================================
Aab key tu iss tarhan Yaad Aya
Jiss tarhan Dasht main ghanay Saaye
Jaisey Dhundlay Sey Aainey kAy Naqoosh
Jaisey sadioun key Baat Yaad Aaye ..!!~
==========================================
Apney Jazbaat hEy lafzoun main Sajaey hum ney
Ashak Ankhoun Sey bhi is mad main bahay hum ney
Apni Sochoun ko tairey Naam sEy mansoob kiYa
Yad-e-rafta Sey haseen lamhey Churai hum nEy ..!!
==========================================
jaMal
05-11-2009, 05:35 PM
Badduain lAy raha hon is Baydard Zamaney kEy
Yeh Saza mili hAy apko Apnay dil main basanay key
Iss liye aae Yaar meray karna na kabhi tu khata
kisey Haseen Cheray sey Eik bhi nazar milanay key ..!!~
==========================================
kHamosh Palko say bekhar jab aanso atay haiN
app kYa janey kitnay app Yaad atay hain
Aaj bhi usey moord pay khaday haiN
jahan apnay kaha tha thero hum abhi atay haiN!
==========================================
Agher Yaqeen nahi ata to Azama lay mujHy
Woh Aina hay to pHir Aina Dekha lay mujHy
Ajeeb Chiragh houN Din raat jalta reHta houN
main tHuk Gaya houN haWa Say kah Bhuja lay mujHy!
=========================================
Aaj us ko Ehsas Dilaya hay kAy tu milta hey nahi
Ajnaabi Tha tu Rooz milla karta tha
Aab woh Mujh Sey Meray hAr baat ka Matlab pochEy
Jo meray Soch key Tehreer likha karta tha ..!!~
==========================================
meraY Palko paY teray kHawab rakh Gya koiY
Meray Sansoun Pay tera naam likH Gya koiY
cHallo yA wadHa raHa tumhiaN bHool jaYenge
AgHer tumSa iss DuniYa main mil Gya koiY
==========================================
Yeh Ajeeb hay Muhabbat key zamana janta hay
Na main uskey manta houN na woh meray Manta hay
koiY us Sey ja kay pochay kiYa mila usey bichar kar?
Main bhi kHaak Chhanta houN woh bhi kHaak chhanta hay !
=========================================
Eik SarSari Sey nazar woh MujH pey bhi Dal dey
Eye Rab-e-Zuljalal use itna kHayal dey
itna bhi Urooj kiYa kay woh Mil hey na Sakay
woh ho Sakey mera usey itna Zawaal deY ..!!!~
==========================================
Rooz TaraouN key Numaish main khalal parta hay
Chand Pagal hay Andheray main Nikal parta hay
unkey Yaad aye hay SansouN zara Aahista Chalo
Dharkano Sey bhi Ibaadet main khalat parta hay ..!!~
==========================================
Muhabbatoun main Diloun ka Yeh hal reHta hay
kHushi Milay bhi tuo Rang-O-Malal Rehta hay
Tamam Saal badalta nahi koiY Mausam
Tamam Saal Judai ka Saal rehta hay ..!!~
==========================================
Mujhy kiouN Aziz tar hay Yeh Dhuwan Dhuwan sa mausam
Yeh Hawa-ey Sham-Ey Hijraan Mujhy Raas hay tu kiouN hay
Main Ujar kAy bhi houN taira tu bicHar kay bhi hay mera
Yeh Yaqeen hay tu kiouN hay Yeh Qayaas hay tu kiouN hay ..!!~
==========================================
Mustakil Azaboun main Dil kar Gaya
Woh Yeh Silsila Mustakil kar Gaya
Shayed usey Bewafai kisey Sey mili thi
Woh jatay jatay Meray Taraf Muntakil kar GAya ..!!~'
==========================================
Abhi wo Dard Baki hai
Mai Kaisay Naye Ulfat main
Apni Zaat Ko Ghum Kar doon
Kay maeray Jism-O-Wajdan mai
Abhi wo Fard baki hai
Abhi uss Shakes ki Mujh par Nigah-E-Sarad Baki hai
Abhi tu Ishq ki Raston ki Mujhe par Gard Baki hai
Abhi Wo Dard Baki Hai ..!!
==========================================
Es musafir key nikaHaat ka tHikaNa kiYa hay
Sang-e-Manzil jiseY dewar nazer anay lagay
etNa bhi na kar zabt kay unkey hazoor
kHamoshi, Dard ka ezhar nazer anay LagaY ..!!~
==========================================
Dil Wohi Rehtay Hain Jazbaat Badal Jatay hain
Sochnay Walon k Andaaz Badal Jatay hain
Wo Jo Daitay They Har Baat Par Hawala Maira
Ub Mairay Ziker Par Wo bAat BaDaL JataY Hain..!!
==========================================
kabHi Zindaghi Say Gila kar kaY RoYa
kabHi Maut keY Dua kar kaY roYa
Ajeeb SilSila haY Nizam-e-Mohabbat ka
kabHi Qaza kar kaY roYa kabHi Ada kar kay Roya ~
==========================================
koiy Tum say Pochay kouN houN main
tum kah DeNa koiY kHass nahi
Eik Dost hay kaccha Paka Sa
Eik Jhoot hay Aadha Sacha sa
Jazbaat ko Dhaanpay eik Pardha
buss Eik baHana acha sa
jeevaN ka Aisa SatHi hay
jo door nah ho kay Pass nahi
koiY Tum say pochay kouN houn main
tum kah DeNa koiY kHass nahi !!!
==========================================
Garmi-e-Hasrat-e-Nakaam Say jal jataY haiN
hum ChirahouN keY tarahaN Shaam Say Jal jataY haiN
Shama Jiss Aag maiN Jalati hay Numaish kaY liYe
Hum Uss hey Aag maiN Gumnaam Say jataY haiN
Jab hey aata hay Tera Naam Mairay naam kaY Sath
jaNay kiouN log mairay Naam Say Jal jatay haiN!
==========================================
kabHi hAnsnay key kabhi rulanaY key
achi Aadat hAy Yeh Zamanay key
Meray iss Dil kO tu Rona bhi nahi Aata
Tum hEy koiY surat kero isey Rulanay kEy..!!~
==========================================
Bichar kar phir Milain Gaye Yaqeen kitna tha
Tu Eik kHawab, haseen kitna tha
meray zawal sey pehlay woh mujH ko Chor Gaya
Haseen tu tha hEy, Zaheen kitna tha ..!!~
==========================================
Umer jalwaouN main Bussar ho Yeh Zaroori tu nahi
hAr Shub ghum key Sehar ho Yeh Zaroori tu nahi
Neend tu Dard kAy Bister par bhi aa Sakti hay
teri Aaghoosh maiN sar ho Yeh Zaroori tu nahi ..!
==========================================
Na janay kouN Sey rut main Bichar Gaye woh Log
Jo apney diL main boHat aehtaram rekhtey they
Woh aa tu jata lakin Os ko Rokey hoYe kuch Log rakhte haiN
Jis kAy Intazar main hum nai Diye JalaYe howay Subah-o-Sham Rakhey thay ..!!~
==========================================
Aae Dil to Muhabbat kerta kiouN hay?
Jo kerta haY to pHir tadapata kiouN hay?
main dHarkan houN uskay Dil key , kehta tha Mujh Say
Phir Aaj uska Dil MeraY biNa Dhakarta kiouN hay!?
==========================================
jaMal
05-11-2009, 05:40 PM
==========================================
Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat
Jaisay Aadha chand
Jaisay bin sooraj kiran
Jaisay bin badal barsaat
Jaisay jungal mein tanha hiran
Jaisay be Aawaz koiyal
Jaisay Sookhi Kali
Jaisay Thehra hoa paani
Jaisay bin paani machhali
Jaisay Andha Raahi
Jaisay bikhari zulfein
Jaisay dolhay bin baraat
Aisay hi tum bin main
Aur mera yeh Adhora PaN
==========================================
Meray Bay-Rabt KhaYalat main kiYa Rakha hay
main tu pagal houN meray baat main kiYa rakha hay
Bandh rakha hay teray yaad nay mazi sey mujHy
verna Guzrey hoye Lamhat main kiYa rakha hay
Tu na mil paYe tu aur kiYa KHUDA Sey mangoun
tu Aalag ho tu meray zaat main kiYa Rakha hay ..!!~
==========================================
Hasti ko Muhabbat main Fana kouN karay Ga
Yeh Farz Sewaye meray Aada kouN karay Ga
HathouN key LakerouN ko zara daikh najoomi
Yeh Daikh meray sath wafa kouN karay Ga ..?!!~
==========================================
Mujh Sey Nafraat key Ajaab Raah Nikali Us Ney
Hasta Basta Gher kar diYa kHali us ney
Meray Ghar key Ruvayat Sey kHoob Waqif tha woh
Judai mang ley Ban key Sawali us neY ..!!~
==========================================
Teri Tasveer ko rakh kar Apni Tasveer kaY SatH
maiN naY yah Umar Ghuzari barii Tadbeer kaY satH
main jis ko apNata houN woh bichar jata haY
meraY baaNti he naHi katib-e-Taqdeer kaY satH ~
==========================================
Dil nay teray baray main Pocha tu bhoat Roya
Vo Shakhs jo Pathar tha toota tu bhoat roYa
Yeh Dil key Judai kAy unwaan pAy barsoun Sey
Chup tha tu buHat Chup tha, Roya tu buhat roYa
Pehlay bhi Shikaston pAr kHai thi Shikas ous Ney
Lekin woh teray hatoun haara tu buhat Roya ..!!~
==========================================
chaNd kay sath kai dard puranay NikLay
kitNay ghum theY jo teray ghum kay baHaNay niklay
Dil nay aik aint say Tamer kiYa Taj Mahel
Tonay aik baT khai Lakh Fasanay niKlay
Dasht-e-Tanhai, Hijran main kHara sochta houN
Hay kYa log mera Sath Nibhanay ko niKlay
==========================================
Eik Lafaz-E-Mohabbat ka Adanaa Sa Fasaana hay
SimaTey to DiL-E-Aashiq PhaileY to Zamaana haY
Yah kis ka Tasavur haY yaH kis ka Fasaana haY
Jo Ashk haiN AankhouN main Tashbhii ka Daana haY ~
==========================================
kouN Apna tHa kis Sey inaYat kartaY
hum ko Hasraat heY raHi hum bHi Muhabbat KartaY
tum naY SamjHa hey Nahi iss Qabil warna
tujH Sey hum Ishq naHi teraY ibadat kartaY ... !!!
==========================================
Aye Muhabbat Teray Anjaam Pey Rona Aaya
Janay kiouN Ajj Teray Naam Pey Rona Aya
YouN tu hAr Sham Aisey hey Ghuzar jati thi
Ajj kuch kHass Baat hay Jo Sham Pey Rona Aya ..!!~
==========================================
ParayShan Aakss-e-Hasti , Ayena Bay Noor Daikha hay
Mayri AnkhouN nain Afsurda Charagh-e-toor Daikha haY
kHain Lakht-e-Jiger kHanay Sey Sager bHook Metti hay
laHo kay Ghont Pee kAr bhi koiy makhmoor Daikha hay !!
==========================================
Mat Dekh itnEy Gour Sey meray hatoun key Lakeroun ko
in main tu hasratoun kAy siwa kuch bhi nahi hay ..!!~
==========================================
kabHi kHoud be meraY pass Aa mera satH Dey
Jo kHalish hay dil Say nikal ker mujHy uljhuno Say nijaat Dey
tujHey SochNa mera mashgala TujHy dekhna meray Aarzo
Mujhy din deY Apnay kHayal ka mujHy apNay Qurb key Raat deY
main akeela bhatkoun kahan kahan Ye safar bara taveel hay
meray zindaghi meray sath chal meray main apna hath Dey ..!!~
==========================================
Kal Na jaNay kiYa Sitam tota teray jaNay kaY bad
raat bHar GhaleouN main kiouN hawa roti raHi
teray milNay ko jab kaBhi uthaYee hath to
meri is Masoom kHawish pAr dua roti raHi!
==========================================
Zindagi main rah kaiseY bhi ho Ghuzar jaYe Gye
Eik din hum bhi Chupkay Say mar jaYin Gay
ajj reHtay haiN DilouN main Yad baN ker
kal Ansoo baN kar AnkhouN Say Nikal jaYiN Gay !
==========================================
kiseY key kHatir Muhabbat key iNteHa kAr do
Par itNa bhi naHi kay usko Khuda kar do
mat cHahoo kisey ko toot kAr
itNa kay Apni hi wafa Say useY Bewafa ker Do !
==========================================
Kisey key Ankh Say SapNay cHura kar kuch naHi milta
MundairouN saY cHiragouN ko bujHa kar kuch naHi milta
useY keHna kay PalkouN pay na taNkay kHawab key jHalar
Samander kay kiNaray Gher baNa ker kuch naHi milta!
=========================================
Aasan to naHi apni Hasti Say Ghuzar jaNa
utra jo Samander maiN dariYa to bHoat Rooya
Jo Shakhas na roYa tHa taptti raHouN main
ewaar kay Sayee main baitHa to bHoat Roya!
=========================================
Sapno Say Dil lagaNay key Addat naHi raHi
hAr Waqat MuskaraNay keY Addat nahi rahi
Pata hay kay koiY manaNay naHi aYe Ga
iss liYe Roth jaNay key Addat naHi Rahi !
==========================================
tum Pocho aur main na batouN AiseY to Halaat naHi
Eik zara Sa Dil toota hay aur to koiY baat nahi
kiseY ko kHabar thi Sanvlay Badal Bin Barsay ur jataY haiN
Sawan aya Lakin Apni Qismat main barsaat naHi !
==========================================
iss Dil ka kaHa mano Eik kaam kAr do
Eik bayNaam sey Muhabbat MaraY naam kAr do
Meray Zaat Pay Faqat itNa Ehsan kar do
kiseY Subah ko milo aur Sham ker do !
==========================================
AakHir kab tak
Tum meraY zakhmoun pAr
Marham RakhtaY raHo Gaye
Aisa keroChor do
kay kucH CheezaiN
hAray hEy achay lagtay haiN !!~
==========================================
Jo Batian maiN kah naHi Sakta
unhiaN main Farz kArta houN
cHalo maiN Farz karta houN
mujHy tum Say Muhabbat hay ... !!
==========================================
Utray jo Zindagi Teri GahraiyouN main hum
Mafhil main Rah kaY bhi,raHay tanhaiYoun main hum
Deawangi naHi tu aur kYa kHain issey
insan dHondtay raHay PerchaiYoun maiN hum .. !!!
==========================================
kabHi Aati hay kHamoshi Sey Chupkey Sey Raat main
BarSat main Veraney maiN AnjaneY main
kiss Wajah Sey kiss key kHatir kiYa bataneY Yeh kiYa hay
Eik Ehsas Eik piYas pHir bHi Achi Lagti hay
Eik Anjaani Sey Beegani Sey Pehchani Sey
kHubSoorat Sey tumhari Yaad ..!!!
==========================================
jaMal
05-11-2009, 05:44 PM
Koi Dekhy Zara Ye Babasi Meri
Raheen-e-Arzoo Hai Her Khushi Meri
Meri Mojudgi Ghubaar Thi Uss Per
Mager Mahsoos Ki Us Ne Kami Meri
Wo Jo Bhi Hai Usy Acha Samjhna Hai
Koi Dekhy Zara Yeh Bebasi Meri
Abhi To Dosti Ka Karz Baqi Hai Mujh Per
Abhi Se Keun Bhar Gai Tabiyat Meri
==========================================
Woh kAh kar challay kay bas itni mulaqat buhat hai
Main nay kaha kay rook jaow abhi raat buhat hai
Aanso meray tham jaye tu phir Shooq sEy jana
Aisey main kahan jaow gEy kaY barsaat buhat hai ..!!~
==========================================
Dayar-e-geer main kaisey tujhey sada detay?
Tu mil bhi jata tu aakhir tujhey ganwa detay
Tum hi nay hum ko sunaya na apna dukh warna
Dua who kartay kAy hum Aasman hila detay
Humain Yeh zum tha kay abb kay who kukarian gEy
Unhian Yeh zid thi kay har bAr hum Sada detay ..!!~
==========================================
Ya Rab humain tujh Sey koiy Gilla bhi nahi
Woh naseeb main nahi tha is liye milla nahi
Seencha tha jiss Chaman ko apney Dill kay laho sAy
Phir kyoun barsat main koiy phool khila nahi
Na lagay koiy chout iss dil-e-natwaan pAr
Abhi tu phichla zakham bhi mujh sAy sila nahi
Manga tha jhoolian utha utha kar usEy
Magher humian duwaoun ka koiy sila mila nahi
==========================================
Tadap utHa bHi to Zalim teray duHaii na douN
Main Zakham Zakh houN Phir bHi tujHey dekhai na douN
Teray BadaN main dharknaY laga houN dil key tarhaN
Yeh aur Baat hay key abb tujHey Sunayee na douN ... !!!
==========================================
Manzil na Rahi koiY thikana bhi nahi tha
Wapis mujHy Gher laut kAr jana bhi nahi tha
Main ney he Sikhaya tha usey teer Chalana
abb meray siwa koiy Nishana bhi nahi tha ..!!~
==========================================
==========================================
Dil teray Intezar main Akser
teri aahut sAy dernay lagta hai
Jaisey Pani main Kaagaz ka phool
teritey he bikhernay lagta hai
==========================================
Sare rah kuch bhi kaha nahi, kabhi us kay gher main Gaya nahi
main janab janabm sey usey ka houN, usey Aaj tak pata nahi
Yeh Khuda key Dain bhi Ajab hai kAy isey ka naam Naseeb hai
Jisey tu ney chaha woh mil Gaya, Jisey main nay Chaha mila nahi
==========================================
Kabhi tu Roye ga woh bhi kisey key banhoun main
Kabhi tu us key hansi ko bhi Zawal hona hai
milian Gey hum ko bhi Apney Naseeb key kHushian
buss intzar hai kab yeh kamal hona hai ..!!~
==========================================
Woh Jazbon kEy Tijara thi Ye Dil kuch Aur Samjha
Usey Hansney kEy Adat thi Ye Dil kuch aur Samjha
Mujey us nAy kaha Aao nai duniYa basatey haiN
Usey Sojhi Shirart thi Ye dil kuch aur Samjha
Hamesha uskEy Ankhoun main Dhanak sAy Rang hotey
Yeh us key Aam halat thi Yeh Dil kuch Samjha !
==========================================
Woh Jo Rop Zair-e-Naqab tha
Usey Daikhna Mera Khwab Tha
Jo mila tha Hijar kEy Shakal main
Meri Chahton ka Azab Tha
Yeh Sawal Tha kAy mila kAro
Na Mila kAro Ye Jawab Tha
Jisey Daikh kar main Tarap Utha
Teri Ankh main Wo Hijab tha
Tera Pyar tha Meri Shairi
Tera Ishq Meray Kitab tHa ..!!~
==========================================
Shani2018
05-28-2009, 03:40 PM
App ne tu poora deeeewaaan likh dia... :)
anyway nice collection...
jaMal
05-29-2009, 02:29 AM
Shani bhai main nay first post main mention kiya hay kay yeh complete collection nahi balkey uss Collection main say %0.1 hay :)
vBulletin® v3.8.2, Copyright ©2000-2012, Jelsoft Enterprises Ltd.