PDA

View Full Version : ~ Ghazal Collection ~


jaMal
06-21-2009, 01:46 PM
Salam o Alikum!
I'm posting here some ghazal's from my collection.. i like poetry so much, but its not my own. :)

======================================
Gham ki Barish nay bhe Tere Naqash k0 Dh0ya Nahi,
t0 ne mujh k0 kh0 Diya Mane Tuje kh0ya Nahi,
Nend ka Halka Gulabi sa khumar ankh0n Ma Tha,
yon laga Jase w0 shab ko Dar Tak s0ya Nahi
Har Taraf Dewar-o-Dar oR 0n Ma ankh0n k Haj0m,
keh sake J0 Dil ki Halat w0 lab-e-G0ya Nahi
Jurm adam Ne kiya oR Nasl-e-adam k0 saza,
kat-Ta Ho0n zindgi Bhar Main Ne j0 b0ya Nahi.
"Janta ho0n aik aise shakhs k0 Main Bhi ArMaN,
Gham se pathar h0 Gaya lakin...kbhi r0ya Nahi"
=======================================
Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Zindagi ko to hum jab chahen,
Maut ki oor khud le jaate hain,
Par ek baar jo kar len ishq,
Wo kahaan isko chod paate hain.
Ye duniya kitni khudgarz hai,
Ye mohabbat hume batati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai
=======================================
Bachpan k dukh kitnay achay hotay thay,
Tab to sirf khilonay toota kartay thay,
Wo khushian bhi jane kaisi khushian theen,
Titlee k parr noch kar uchala kartay thay,
Chotay thay to Makr-o-faraib bhi chotay thay,
Daana daal kar chirrian pakra kartay thay,
Paon maar k barish k pani main,
Apni nao aap daboyya kartay thay,
Apnay jal janay ka bhi ehsas na tha,
Jaltay hoay sholon ko ch~hera kartay thay,
Ab to ik aansoo bhi ruswa kar daita hai,
Bachpan main jee bhar k roya kartay thay
=======================================
Khafa hai mujh se, Mujhe pareshaan kerta hai
Ajeeb shakhs hai, Khud se bad-gumaan kerta hai
Na meri perwa hai na mere haal ki kuch khabar
Salook wo karne laga hai jaise Anjaan karta hai
Wo mere Zikr per uktaana, Mujh se katra k Guzer jaana
Aisa lagta hai wo doori ka saamaaan karta hai
Pehle to mujh se milna hi Ehm tha jis k liye
Ab milta hai to jaise Ehsaan karta hai
Ta'aluq torna hai to aa k keh de mujh se
Wo aisi baatain Kiun ghairoon se bayaan karta hai...
=======================================
Mujahy ranjeda rahnay do,
Khushi achi nahi lagthi,
Mai itna roo chukka kay,
Hansi achi nahi lagthi,
Andhera kar kay apnay gird,
Tanhaye main beta hu,
Yeh aisa waqt hai jab,
Roshni achi nahi lagthi,
Agar apna chaman hota,
Garebaan chak kar leta,
Diyar-e-ghair mein,
Dewanagi achi nahi lagthi,
Patay ki baat anjum nei kahay,
Hum ahlay dunya say,
Haqiqath talkh hothi hai,
Kabhi achi nahi lagthi,
=======================================
dil kii dil mein na rah jaaye ye kahaanii kah lo
chaahe do harf likho chaahe zabaanii kah lo
main ne marane kii duaa maaNgii vo puurii na huii
bas is ko mere jiine kii kahaanii kah lo
sar_sar-e-vaqt uraa le gaii ruudaad-e-hayaat
vahii avaraaq jinhen ahad-e-javaanii kah lo
tum se kahane kii na thii baat magar kah baiThaa
ab ise merii tabiyat kii ravaanii kah lo
vahii ik qissaa zamaane ko meraa yaad rahaa
vahii ik baat jise aaj puraanii kah lo
ham pe jo guzarii hai bas us ko raqam karate hain
aap_biitii kaho yaa marsiyaa_Khvaanii kah lo
=======================================
Na Sawal ban ke mila karo..
Na jawab ban ke mila karo..
Meri zindagi mere khawab hain..
Mujhay khawab ban ke mila karo..
Her shaam ko mere dosto..
Na azaab ban k mila karo..
Mujhay mai-qaday mein milo agar..
To shraab ban k mila karo..
Mujhay achay log bahoot mile..
Mein to un ke karz say mar gaya..
Aray ho sake to kabhi kabhi..
To kahraab ban ke mila karo..
Abhi sochna hai to soch lo..
Abhi chorna hai to chor do..
Naye mousmo me milo mujhay..
To ghulaab ban ke mila karo..
Na to iss terha say mila karo..
Na to us terha say mila karo..
Haan hazoor ban ke mila karo..
Haan janab ban ke mila karo..
Na Sawal bun k mila karo..
Na jawab bun k mila karo..
Meri zindagi meray khawab hain..
Mujhay khawab ban ke mila karo.. !

jaMal
06-21-2009, 01:48 PM
baqi hai abhi ishq main kuch kar-e-ziaan aur
kuch der idher chashm-e-tghaful meri jaan aur..
har shai ki haqiqat bhi haqiqat main hai parda
hota to hai kuch aur guzarta hai gumaan aur..
honai se terei itna hua hai ke hui hai
ik chashm-e-tahayyur meri janib nigran aur..
is ishq main woh khu-e-aziyyat hai ke dil se
har taza sitm pe yeh sada aai ke, haan aur !!
kuch der abhi aur yhei ronaq-e-mehfil
kuch der hadis-e-lab-e-shirin-sukhn'an aur..
ab merey siwa koi nhin hai mera mehram
ab dil ke siwa koi nhin jai'amaan aur..
koi bhi nhin hijr main ab sar-ba-gareban
ab shehr ke gham aur hain, adab-e-fughan aur..
dastar gyi sar se magar sar hai salamat
kuch perwi-e-maslak-e-ashafta saraan aur
woh bojh latafat ka uthana hee kathin tha
ab ruh pe hasti ka hai ik bar-e-giran aur..
be-perahani main to woh jo kuch hai, wohi hai
jab husn ho pardai main to hota hai ayaan aur..
dunia ko samjh kr bhi hun khamosh ke akhir
kuch din abhi rehna hai mujhai bhi to yahan aur..
irfan tera tarz-e-sukhan khub hai lekin
kehtay hai ke ghalib ka hai andaz-e-bayan aur..
=======================================
Dekhna bhi to unhein door se dekha karna
sheva-e-ishq nahin husn ko rusva karna
ek nazar hi teri kaafi thi ki ae raahat-e-jaan
kuch bhi dushwaar na tha mujh ko shakebaa karna
unn ko yaan vaade pe aa lene de ae abr-e-bahaar
jis tarah chaahna phir baad mein barsa karna
shaam ho yaa ki sehar yaad unhee ki rakh le
din ho yaa raat hamein zikr unhee ka karna
kuch samajh mein nahin aata ki ye kya hai 'Hasrat'
unn se milkar bhi na izhaar-e-tamanna karna.
=======================================
Tum Ne Poocha Hey ke
Dukh kia Hota Hai ???
To Suno.....
Aisa Karna
Kabhi kisi ko Chahna
aur Chahate Hi Rehna...
Din Bher us ko Sochte hi Rehna....
Apne Haath ki Lakeeron mein us ka Naam Tarashte hi Rehna...
aur Jab kabhi Wo,
in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
samne aaey to ........
Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena.
Ager Wo kuch kahey to,
Muskura ker Anjaan Ban Jana.
Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to...
Apne Ander Jhankna,
aur,
Khud se Poochna ......
Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
Ke....
Dukh kisko kihtey Hain.
aur...
Dukh kia Hota Hai.
=======================================
Mukarke bewafai ko itrata hai koi.
Anjaan banke berukhi jatata hai koi.
Bebason ka fayda bhi uthata hai koi.
Jazbaton ka mazak udhata hai koi.
Hansa ke dobara yun rulata hai koi.
Mohre tarha kisi ko phirata hai koi.
Samne ho koi to dil mein nazar ata hai koi.
Kisi ke dard se maza uthata hai koi.
Mohabbat ko khota to pata hai koi.
Koi banta hai to banata hai koi.
Aage nikalke bhi peechhe rehjata hai koi.
Na samajh kisi ko samjhata hai koi

jaMal
06-21-2009, 01:49 PM
meray humsafar, tujhay kya khabar
yeh jo waqt hai kisi dhoop chaa-on’ k khail sa
isay daikhtay, isay jhailtay
meri aan’kh gard se att gai
meray khuwab rait mai kho gaye
meray hath barf se ho gaye
meray bay khabar tere naam per
wo jo phool khiltay thay hon’t per
wo jo deep jaltay thay baam per,
wo nahi rahey
wo nahi rahey k jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
wo hawa chali
wo kisi sham aisee hawa chali
k jo barg thay sar-e-shakh-e-Jaan’, wo gira diye
wo jo harf darj thay rait per, wo ura diye
wo jo raaston ka yakeen thay
wo jo manzilon k ameen thay
wo nishan-e-pa bhi mita diye!
maire humsafar, hai wohi safar
magar aik moor k farq se
tere hath se maire hath tak
wo jo hath bhar ka tha fasla
kai mosamon mai badal gaya
usey naptey, Usey kat tay
mera sara waqt nikal gaya
nahi jis pe koi nishan-e-pa
mery samnay hai wo rah guzar
meray chahrah ger
meray durd ki tujhay kia khabar
ye jo raig-e-dasht-e-firaaq hai
meray raaston’ mein bichee hui
kisi morr pay ye rukay kaheen’
ye jo raat hai meray chaar soo
magar is ki koi shajar nahi
na he chhaa-on’ hai na samara koi
main nay chhaan daykha shajar shajar
meray chahrah ger
meray durd ki tujhay kia khabar
Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa
Mumkin To Nahi Magar Chala jaa
Loti Nahi Taairon Ki Sangat
Jaagi Nahi Rah guzar Chala Jaa
Ab tak to Hawa Thami Hui Hai
Saakt Hain Abhi Shajar Chala Jaa
Kia Haal Bana Lia Hai Apna
Kuch Apna Khayal Kar Chala Jaa
Phir Koi Samait ta Nahi Hai
Aise Na Ho Darbadar Chala Jaa
Yaan Khaima-e-Aafiyat Nahi Hai
DUniya Hai Jidhar, Udhar Chala Jaa
Ye Saari Hi Khush Kharamiyan Hain
Koi Nahi Hum Safar Chala Jaa
Ab Aur Hawain Chal Rahi Hain
Ab Kon Hai Naamabar Chala Jaa
Maana Ke tu Jaanta Hai Sab Kuch
Phir Bhi Mere Be Khabar Chala Jaa
Aagay Bhi Hain Manzaron Ke Jhurmat
Jaa Aie Mere Khush Nazar Chala Jaa
Ab Jang Ka Jo Bhi Faisla Ho
Main Hoon Na Mahaaz Per Chala Jaa
Ab Jaa ke Hua Hai ishQ tujh se
Ab tu Mujhe Chod Ke Chala Jaa
=======================================
Mohabbat Zindagi Hay
Aur tum meri mohabbat ho
Tumare pyaar ne dil main
Umangoon ko jagaya hay
Tumari muskarahat ne
Mujhaye jina sekhaya hay
Na ho taqdeer pe kyun naaz
Jab itni inayat ho\
Naheen ab koy bhi armaan
Mere dil main tumain pa kar
Main yeh ikraar karta hoon
Mohabbat ki kasam kha kar
K mere wastey tumhi
Zamane bhar ki dolat ho
Mohabbat ne chalan
Sekha naheen hay beywafayi ka
Na aye ga humare darmiyan
Aik pal judayi ka
Woh dil kaise juda hoon ge
K jin main itni chahat ho
Tumare pyaar ki khushbo rachi hay
Meri sansoon main
Tumari aarzo ab tak saji hay
Meri aankhon main
Hamesha ki tara tum aaj bhi
Is dil key rahat ho !!
=======================================
Dil mein ik lehar see uthee hai abhee
Koi taaza hawaa, chalee hai abhee
Shorr bharpaa hai, khaan-e-dil mein
Koee deewar see, giree hai abhee
Bharee dunyaa mein jee naheen lagta
Jaane kis cheez kee, kamee hai abhee
Kuch to naazuk mizaaj hain hum bhee
Aurr yeh chot bhee, nayee hai abhee
Soo gay'e loog is hawelee ke
Ek khirkee magar, khulee hai abhee
Sheharr kee be-chiraagh galiyoon mein
Zindagee tujh ko, dhoondte hai abhee
Yaad ke be-nishaan jazeeroon se
Teree aawaaz aa, rahee hai abhee
Waqt achaa bhee aa'e gaa nasir
Gham na kar zindagee, pare hai abhe
jo beeti hai use dhurane main kuch waqat lage ga.
es ghum ko ek yaad bnane main kuch waqat lage ga.
naneed to ane ko thi per dil pachle qase le batha.
ub khud ko be waqat sulane main kuch waqat lage ga.
us ka sath ub tanhai ko kerta hai or zeyda.
per yeh baat samjhane main kuch waqat lage ga.
akhar humein bhi loot ker ek din gahar jana hai.
layken itni door se ane main kuch waqat tu lage ga.
itni jaldi kua hai “sagar” tum ko wapais jane ki.
kaam yeh dunya k nabtane main kuch waqat tu lage ga
=======================================
aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai
gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai
waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai
ek muddat se jahaN qaaflay guzre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
=======================================
sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista
jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
hayaa yak laKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista
sab-e-furkat ka jaaga hoon faristoN ab to sone do
kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista
hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista
baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista
=======================================
zindagi yoon huyi basar tanha
kaafila saath aur safar tanha
apne saaye se chaunk jaate haiN
umR guzri hai is kadar tanha
raat bar bolthe hain sannaaTe
raat kaaTe koi kidhar tanha
din guzartha nahin hai logon meiN
raat hothi nahin basar tanha
humne darwaaze tak tho dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha
=======================================